[1] Logo ko jalil karne aur gibat karne walo ko meraz ki raat maine apne tabey ke nakhun se apne chehere aur shine nochte dekha.
...........................................................................................................................
[2] Musalman ka maal (nazayaz tarike se hathiyana) use beyzzat karna,usse katal karna musalman ke liye haram hai. (ABU-DAUD)

[3] Jo adimi apne deeni bhai ke umar zulm-jayezsti hote huwe dekh kar khamosh rahe, uski madad na kare to allah paak bhi musibat mai uski madad nahi farmayega. (ABU-DAUD)

[4] Jo adimi apne kisi deeni bhai ko kisi deeni bhai ki gibat karne se rookde, allah paak usse jahannam mai jane se rook dega.

[5] Jo adimi koi ayesi chez (kisi ki koi ayesi burai) dekhe jisse chhopana chahiye (usse jaheer karke jalil hone-karne se bachaye) uska ayeb chhupa liya to goya usne jinda gadi hui bachchhi ko kabar se nikal kar dubara jinda kardiya. (TIRMIZI SHARIF)

[6] Bande ko qayamat ke din uska amalnama diya jayega. Wah usse khol kar dekhega to ussmai ayesi bahut si nekiyan darz payega jo usne jindagi mai ki hi nahi they. Araz karega – ILAHI! Yah sab kaise? Jawab milega – logo ne tumhari gibat ki they, tumne nahi pata thha, un logo ki nekiyan tumhare amalname mai darz kar di gayi.

[7] Agar kisi adimi ne apne kisi gunaha se tawba kar li fir bhi kisi ne (kisi bhi wazaha se) us tawba karne wale ko uske gunaha yaad dila kar sharminda kiya to ayesa adimi marne se pahele kabhi na kabhi us gunah mai jaror mubtila ho jayega. (TIRMIZI SHARIF)

[8] Hasad (Irsha) nekiyon ko is tarah khatam kar deta hai jayese aag lakdi ko jalakar khatam kar deti hai.

[9] Ek dusre ki tarakki – khushharli dekhkar jalo mat! Kisi ke liye apne dil mai kina na rakhkho. Pith pichhy kisi ki burai na karo. Allah ke bande! Aapas mai bhai-bhai bankar raho. (BUKHARI SHARIF)

[10] Hafte mai 2-baar peer aur jumeraat ko bande ke amal darbare Elahi mai pesh kiye jate hai. Allah paak apne fazal s logo ko bakhsh deta hai lekin bhai se dusmani rakhne wale ki bakhshish nahi hoti jab tak ki wah apne gila-shikwa duur karke apni dushmani khatam na kare.

[11] Mazlum ki baddua se bachho. Wah allah se apna haq magega. Allah paak kisi haq wale ka haq maaf nahi karega (BAYEHKI SHARIF)

No comments:
Post a Comment