Saturday, 21 December 2013

Maa!



Sab ka gum mai kagaz pe likhta hu,
Aaj socha ke maa teri dastan bhi byan kar du.
Waise to meri har ek saans teri rahmat ki mohtaj hai...
magar aaj mai sabke samne apni zindagi tere naam kardu...
Maine apni aankho ke samne tujhe bilakhta jab jab dekha hai...
Tab tab maa maine apne dil ko dhadkne se roka hai...
mujhe to yaad nhi manzar wo bachpan ka...
magar logo se mai teri mamta ki dastan sunta aaya hu...
Tujhe taklifo ke badle hazaro khushia du...
maa aise lakho sapne mai aaj tak bunte aaya hu...
khushi se tu fule nhi smati thi...
kahte hai bar bar mera matha chume jati thi...
suna hai tune us waqt mere liye khana pina tak chhod diya tha...
mujhe apne sine se laga kar tune jahan se muh mod liya tha...
 toote huye chhat se jab raato ko pani tapkata tha,
tab suna hai maa teri mamta ka amrit mujh pe barsta tha...
tu pani wali jagah pe khud let jaya karti thi...
kahi mujhe na kuchh hojaye is baat se tu darti thi...
hamesha tune sabse jyada mujhe chaha hai...
mai mila hu manato se hamesha hi mujhe ye kaha hai...
mere dukh ke waqt me bhi ek tuhi thi jisne mujhe smjha tha...
mai kya chahta hu bina kahe hi tune jana tha...
sara sara din rab ke aage meri slamti ke liye duaye mangti rahti thi...
mujhe uthale magar mere bete ko thik kar tu baar baar rab se ye kahti thi...
tere itne ahsano ke badle mai tujhe aaj tak kya de paya hu...
teri zindagi ka rati bhar gum bhi na mai kam kar paya hu...
Tujhe taklifo ke badle hazaro khushia du...
maa aise lakho sapne mai aaj tak bunte aaya hu...
Umeed hai ke mai aage kuchh aisa kar ke dikhaunga,
Mai apni maa ki sari khushio ko pura kar jaunga.
♥●● !! In shaa ALLAH !! ●●♥
♥●● !! In shaa ALLAH !! ●●♥

No comments:

Post a Comment