Aaj ham gunaho ke itne aadi ho chuke hai ki gunah ke kaam kar ke bhi gunah mahesush nahi karte. Yah hamari emaani kamzori hai. Ayesha isliye ki pura samaz iski lappet mai aa chuka hai. Jhhoth bulna gunahe kabira hai. Lekin yaha ek mamuli baat samjhi jane legi hai. Yahi nahi, balki karobari log to isse apna haq wa hunar samjhne lage hai. Aap aye din logo ki jabani sunte hai ki are bhai-dhandhy mai etna to chalta hai, dhandhy mai to sab zayaz hai. Issi tarah ki aur na jane kaisi-kaisi bate ham aur aap aye din sunte hi rahete hai. Ab zara gawar kijiye – jab logo ki halat wa khayalat ayese ho jaye to fir bhala burayi ko burayi, gunah ko gunah kaise samjha jaye aur bachne ki fikar kyon ki jaye?
Unhi sari burayi mai se ek burayi gibat hai (Chugli karna). Gibat gunah-e-kabira hai. Kisi ki peth ke pichhy burayi karne ko gibat kaha jata hai. Gibat ko quran mai apne bhai ka gusht khana bataya gaya hai. Aaj is gunaha se koi bhi nahi bachha hai. Bada ho ya fir chhota, mardho ya awrat, alim ho ya jahil, sabhi iss gunaha mai fase nazar aate hai aurr bade maze lelekar ek dusre ki burayiya karte hai. Jis tarah chamdey ke karkhano mai kaam kare walo chamdey ki badbu mahesus nahi hoti kyonki wah uske aadi ho chuke hote hai, issi tarah gibat karne walo ko gibat ki badbu mahesus nahi hoti.
HAZRAT-ANAS-RADIALLAHO-ANHO – ka bayan hai – ek din allah ke rasul ne hame roza rakhne ka hukum diya aur yah bhi takid farmayi ki bagayar meri izazat ki koi iftar na kare.Chunanchhey job iftar ka waqt karib aya to ek-ek kar ke log ane lage. Log aap se izazat lelekar iftar karne lage. Unhi mai se ek sahaba jab itfar ki izazat talab karne ke liye karib aye to kaha –Ya rasulallah! Meri ghar ki 2- awrato ne bhi roza rakhkha hai, waha aapke samne ate huwe saraam mahesus kar rahi hai, aap unhe iftar ki izazat de. Aaka ne unki taraf se muuh feyr liya. 3-baar ayese hi howa to sarkar ne farmaya – jiska din logo ka gusht khane mai beet jaye waha kaisa rozdaar? Jao aur unse kahe do ki agar tumne roza rakhkha hai to kisi tarah kay kar daro. Unhone ghar jakar jab yaha khabar di to unhone kay (ulti) ki. Unke peyt se khuon ke lothde bahar aye. Waha sahaba darbar-e-rasul mai hajir howe aur sara haal sunaya to aapne farmaya- khuda ki kasam! Agar yaha chhez unke peyt mai rahe jati ho unhe aag jalati. Unhone ek-dusre ki gibat ki hai
Allaho-akbar! Nigah-e-nubuwat ne gibat ke bhayanak anjam ko peyt ke andar dekh liya aur logo ko uske gunah se bachte rahane ki tacit farmayi.
Allah paak hame apne pyare nabi ki sadke mai gibat aur iss tarah ke dusre gunah se bachne ki takid aata farmaye taki ham duniya w akhirat ki tabahi se bach sake. Ameen!!!
No comments:
Post a Comment