Sunday, 22 December 2013

Nabi e Akram sallallaho alahe wasallam ne farmaya

Nabi e Akram sallallaho alahe wasallam ne farmaya Tum mein se koi,kisi bhi 

takleef ki waja se maut ki Aarzu na karay haan Albatta ye dua ALLAH se ker 

sakta hai k

" Aye ALLAH mujhe zinda rakh jab tak mera zinda rehna behter ho,aur mujhay


 maut de jab mere liye maut behtar ho

Kuch is ki khabar bhi hai tujhko

Kuch is ki khabar bhi hai tujhko

Wo roz-e-mehshar kya hoga

Jis aag ka indhan insan hai


Us aag ka aalam kya hoga

Ye jism gawahi khud de ga


Har hissa badan ka boley ga

Khamosh zuban ho jaye gi


Us waqt ka aalam kya hoga

Kuch is ki khabar bhi hai tujhko


Wo roz-e-mehshar kya hoga

मुसलमान का अपना दुश्मन खुद मुसलमान है..See how

मुसलमान का अपना दुश्मन खुद मुसलमान है....केसे देखे मे बताता हु

इन बातों को पढे और खुद फैसला करे...।
1.हमारे मुहल्ले की छोटी सी मस्जिद की कमेटी से लेकर राज्य की हज
कमेटी तक मे मुस्लिम्स के अंदर न इत्तेफाकी आम बात है...यानि मिल
कर कोई काम करेंगे ही नही...
2.ज्यादातर जीतने भी मुस्लिम्स जिनहे अल्लाह ने खूब मालों दौलत से
नवाजा है उनकी यहा की शादिया इस क़दर खर्चीली होती है की उतने
पेसो मे कई गरीब मुस्लिम बहनों का निकाह हो सकता है..।
3.जिसे देखो अपने बच्चे की स्कूल फीस,ट्यूशन फीस,बस
किराया,कापी किताब,ड्रेस,जेस ी चीज़ों मे खर्च करने मे कोई बढ़ी बात
नही है..लेकिन एक आलिम या हाफिज़े कुरान जो 100 से 200 रुपए
महीने मे घर आकर आपके बच्चो को दीनी तालीम दे सकता है वो सब
को भारी लगता है....।
4.उधार लिया है तो चुकाने मे इतनी इतनी ताखीर कर दी जाती है
की बाद मे वो पेसा देने वाले के काम का नही रेह जाता..।
5.दौलत और जायेदाद के लिए सगे भाई,या सगे भाई
बहन,चाचा भतीजे,यहा तक की बाप बेटे तक मे लड़ाई देखने को मिल
रही है...।
6.अगर किसी सुबाह क्रिकेट खेलना हो तो उठ कर तैयार लेकिन फ़जर
के लिए फुस्स...।
7.बिजली चोरी भी आम है...मेने खुद कई मुस्लिम घर देखे है
जहा धड़ल्ले से बिजली चोरी की जा रही है..।
8.एक दूसरे की टांग खींचने मे हमे महारत हासिल है...ये
ऐसा वो ऐसा...बस यही काम है
9.ब मुश्किल हफ्ते मे एक बार जुमे को मस्जिद आते है और उनमे से
आधे बिना सुन्नत पढे ही ऐसे भागते है जेसे शायद उन्हे पकड़ कर क़ैद
कर दिया जाएगा...।
10.हमारे मुहल्ले की ज्यादातर इमाम इलाक़े के अमीर आदमी कौन कौन
है सब को जानते है लेकिन गरीब आदमी कौन है इसके लिए टाइम
नही है...जबकि इमाम का काम है की सर झुका कर मस्जिद जाये और
सर झुका कर वापस अपने हुजरे मे आ जाए..।
11.पड़ोसी के यहा कुछ नयी चीज़ आ गयी तो हमे जलस
होती है...बहुत आम है ये भी
12.झूठ!!!!! खुदारा खुदारा इस क़दर ज़बान पर होता है की शायद
ही कोई बात सच हो..।
13.माँ बाप बुलाये तो अनाकानी लेकिन लड़की या बीवी बुलाये
तो फौरन हाजिर...।
14.मे ऐसा मेरे पास ये है मेरे पास वो है...मेरे जूते इतने के
है...मेरी कार इसमे की है...हर कोई दिखावा दिखावा और बस
दिखावा..।
15.मुस्लिम लड़को के हाथ मे
आपको कडा मिलेगा...नाड़ा मिलेगा...कान मे बाली मिलेगी...और
तो और कभी कभी तो ऐसे लिबास पहने देखा हु की यकीन
करना मुश्किल होता है की मर्दाना है या ज़नाना???
16.हमारे 15-16 साल के ज्यादातर लड़के कुरान पढे हो या न हो कोई
सूरत याद हो या न हो लेकिन गंदी फिल्मे इस उम्र तक देख चुके होते है
और गाने भी याद हो चुके होते है...क्या ये आने वाली मुस्लिम
पीढ़ी है????
और भी सेकड़ों खामिया है आज हम मे....जो क़ौम पहले
दुनिया की तमाम क़ौमों की सरदार थी आज बदहाल
होती जा रही है....क्यू??? सिर्फ अल्लाह और उसके रसूल से
दूरी इसकी वजाह है.

Saturday, 21 December 2013

PYARE NABI KI PYARI BAATEIN

[1] Logo ko jalil karne aur gibat karne walo ko meraz ki raat maine apne tabey ke nakhun se apne chehere aur shine nochte dekha.
...........................................................................................................................
[2] Musalman ka maal (nazayaz tarike se hathiyana) use beyzzat karna,usse katal karna musalman ke liye haram hai. (ABU-DAUD)
...........................................................................................................................
[3] Jo adimi apne deeni bhai ke umar zulm-jayezsti hote huwe dekh kar khamosh rahe, uski madad na kare to allah paak bhi musibat mai uski madad nahi farmayega. (ABU-DAUD)
...........................................................................................................................
[4] Jo adimi apne kisi deeni bhai ko kisi deeni bhai ki gibat karne se rookde, allah paak usse jahannam mai jane se rook dega.
...........................................................................................................................
[5] Jo adimi koi ayesi chez (kisi ki koi ayesi burai) dekhe jisse chhopana chahiye (usse jaheer karke jalil hone-karne se bachaye) uska ayeb chhupa liya to goya usne jinda gadi hui bachchhi ko kabar se nikal kar dubara jinda kardiya. (TIRMIZI SHARIF)
...........................................................................................................................
[6] Bande ko qayamat ke din uska amalnama diya jayega. Wah usse khol kar dekhega to ussmai ayesi bahut si nekiyan darz payega jo usne jindagi mai ki hi nahi they. Araz karega – ILAHI! Yah sab kaise? Jawab milega – logo ne tumhari gibat ki they, tumne nahi pata thha, un logo ki nekiyan tumhare amalname mai darz kar di gayi.
...........................................................................................................................
[7] Agar kisi adimi ne apne kisi gunaha se tawba kar li fir bhi kisi ne (kisi bhi wazaha se) us tawba karne wale ko uske gunaha yaad dila kar sharminda kiya to ayesa adimi marne se pahele kabhi na kabhi us gunah mai jaror mubtila ho jayega. (TIRMIZI SHARIF)
...........................................................................................................................
[8] Hasad (Irsha) nekiyon ko is tarah khatam kar deta hai jayese aag lakdi ko jalakar khatam kar deti hai.
...........................................................................................................................
[9] Ek dusre ki tarakki – khushharli dekhkar jalo mat! Kisi ke liye apne dil mai kina na rakhkho. Pith pichhy kisi ki burai na karo. Allah ke bande! Aapas mai bhai-bhai bankar raho. (BUKHARI SHARIF)
...........................................................................................................................
[10] Hafte mai 2-baar peer aur jumeraat ko bande ke amal darbare Elahi mai pesh kiye jate hai. Allah paak apne fazal s logo ko bakhsh deta hai lekin bhai se dusmani rakhne wale ki bakhshish nahi hoti jab tak ki wah apne gila-shikwa duur karke apni dushmani khatam na kare.
...........................................................................................................................

[11] Mazlum ki baddua se bachho. Wah allah se apna haq magega. Allah paak kisi haq wale ka haq maaf nahi karega (BAYEHKI SHARIF)

GIBAT KHORI BHAYANAK GUNAHA

Aaj  ham gunaho ke itne aadi ho chuke hai ki gunah ke kaam kar ke bhi gunah mahesush nahi karte. Yah hamari emaani kamzori hai. Ayesha isliye ki pura samaz iski lappet mai aa chuka hai. Jhhoth bulna gunahe kabira hai. Lekin yaha ek mamuli baat samjhi jane legi hai. Yahi nahi, balki karobari log to isse apna haq  wa hunar samjhne lage hai. Aap aye din logo ki jabani sunte hai ki are bhai-dhandhy mai etna to chalta hai, dhandhy mai to sab zayaz hai. Issi tarah ki aur na jane kaisi-kaisi bate ham aur aap aye din sunte hi rahete hai. Ab zara gawar kijiye – jab logo ki halat wa khayalat ayese ho jaye to  fir bhala burayi ko burayi, gunah ko gunah kaise samjha jaye aur bachne ki fikar kyon ki jaye?
Unhi sari burayi mai se ek burayi gibat hai (Chugli karna). Gibat gunah-e-kabira hai. Kisi ki peth ke pichhy burayi karne ko gibat kaha jata hai. Gibat ko quran mai apne bhai ka gusht khana bataya gaya hai. Aaj is gunaha se koi bhi nahi bachha hai. Bada ho ya fir chhota, mardho ya awrat, alim ho ya jahil, sabhi iss gunaha mai fase nazar aate hai aurr bade maze lelekar ek dusre ki burayiya karte hai. Jis tarah chamdey ke karkhano mai kaam kare walo chamdey ki badbu mahesus nahi hoti kyonki wah uske aadi ho chuke hote hai, issi tarah gibat karne walo ko gibat ki badbu mahesus nahi hoti.
HAZRAT-ANAS-RADIALLAHO-ANHO – ka bayan hai – ek din allah ke rasul ne hame roza rakhne ka hukum diya aur yah bhi takid farmayi ki bagayar meri izazat ki koi iftar na kare.Chunanchhey job iftar ka waqt karib aya to ek-ek kar ke log ane lage. Log aap se izazat lelekar  iftar karne lage. Unhi mai se ek sahaba jab itfar ki izazat talab karne ke liye karib aye to kaha –Ya rasulallah! Meri ghar ki 2- awrato ne bhi roza rakhkha hai, waha aapke samne ate huwe saraam mahesus kar rahi hai, aap unhe iftar ki izazat de. Aaka ne unki taraf se muuh feyr liya. 3-baar ayese hi howa to sarkar ne farmaya – jiska din logo ka gusht khane mai beet jaye waha kaisa rozdaar? Jao aur unse kahe do ki agar tumne roza rakhkha hai to kisi tarah kay kar daro. Unhone ghar jakar jab yaha khabar di to unhone kay (ulti) ki. Unke peyt se khuon ke lothde bahar aye. Waha sahaba darbar-e-rasul mai hajir howe aur sara haal sunaya to aapne farmaya- khuda ki kasam! Agar yaha chhez unke peyt mai rahe jati ho unhe aag jalati. Unhone ek-dusre ki gibat ki hai
Allaho-akbar! Nigah-e-nubuwat ne gibat ke bhayanak anjam ko peyt ke andar dekh liya aur logo ko uske gunah se bachte rahane ki tacit farmayi.
Allah paak hame apne pyare nabi ki sadke mai gibat aur iss tarah ke dusre gunah se bachne ki takid aata farmaye taki ham duniya w akhirat ki tabahi se bach sake. Ameen!!!

PYARE NABI KI PYARI BATE

[1] Jisne achchhi tarah waju kiya, namaz ke liye masjid gaya aur jamat se namaz ada ki uske gunaha bakhsh diye jayege.
[2] Jo adimi magrib ki namaz ke baad bina kisi se baatchit kiye 2-rakat namaz padhega allah paak usse jannat mai makam ata farmayege.
[3] Agar tum apne maal  se logo khush nahi kar shakte to khushi dil unse baatchit karke,unke shath achchha bartao karke unhe khush kar sakte ho.
[4] Maut momin ke liye ek tohafa hai.
[5] Madine mai rahene ke dawran jo adimi dhukh-taklif ane par sabar karega, mai usse qayamat mai bakhshwaduga.
[6] Jisse mumkin ho shake ki wo madina mai mare to madina mai hi mare kyonki jo madina mai marega main qayamat mai usse bakhshwaduga.
[6] Jo adimi madina walo ke sath dhokha bazi karege wah ayesa  ghul jayega jayese namak pani mai ghul jata hai.
[7] Madina mai pahuchne wale rashte mai farishte ka pahera raga huwa hai isliye us shahar mai dazzal nahi ghush sakega aur waha paleg ki bimari nahi ho sakege.
[8] Nek awrat duniya ki sabse achchhi dawlat, sarmaya hai.
[9] Jab koi adimi nikah kar leta hai to shayetan ko bada dhukh hota hai, waha kaheta hai ki adam ke bête ne mujhese apna 2-rihayi iman bachaliya.
[10] Jo adimi nikah karne ki hashiyat rakhte huwe bhi nikah nahi karta, waha hamme se nahi hai.
[11] Jo adimi nikah kare aur maher qabul karte waqt yah niyat rakhkhe ki kuch bhi na duga to waha zani ho kar marega.
[12] Jiske 2-awrate ho aur uska jhukaao ek ki taraf ho (Dusri biwi ka barab khayan na rakhta ho) to qayamat mai peshi ke waqt uska adha dhad bekar ho jayega.
[13] Awart par sabse jayeda haq uske shawhar ka hai, aur mard par sabse jayeda haq uski maa  ka hai.

Astagfaar' Ke Faide

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne
farmaya ke jo insan astagfaar' me laga rahega Allah
us ke liye har tangi se nikalne ka rasta aur har gam
se chhutkare ka zariya bana dega aur use aesi jagah se rozi dega jaha se usko gumaan bhi na hoga.
[mishkat] Isliye bhaiyo-bahno roz ek tasbeeh astagfaar ki
padhiye, ya chalte-firte bhi astagfaar padh sakte
hain.
Astagfaar ye hai -
"Astag fi rullah hal lazi la-ilaha illa huwal hayyul
qayyum wa atubu ilyh".
Ye ek dua hai, isme hum Allah se apne gunaho ki
maafi maangte hain, Roz raat ko sone se pahle bhi 3
baar isko padh liya karo, kyonke humko pata nahi
ke hum subah zinda uthenge ya nahi, isliye sone se
pahle Allah se maafi maang liya karo, astagfaar
padh liya karo.
Allah hum sabko amal ki taufik de, Aameen.

Qayamat kise kehte hai?

» Sawaal : Qayamat Kise Kahte Hai ?

» Jawaab : Qiyaamat Ke Mayne Hai Dobara
Uthaaya Jana, Duniya Ka Fanah Ho Jana.
Allaah Ta’alaApni Kitaab Quraan-e-Kareem Me
Farmata Hai Ki,
Ek Din Aesa Hoga,
Jab Woh Tamaam Paida Kiye Huye Cheezo Ko
Mita Dega,
Ussi Din Ka Naam Qayamat Hai.

Maa!



Sab ka gum mai kagaz pe likhta hu,
Aaj socha ke maa teri dastan bhi byan kar du.
Waise to meri har ek saans teri rahmat ki mohtaj hai...
magar aaj mai sabke samne apni zindagi tere naam kardu...
Maine apni aankho ke samne tujhe bilakhta jab jab dekha hai...
Tab tab maa maine apne dil ko dhadkne se roka hai...
mujhe to yaad nhi manzar wo bachpan ka...
magar logo se mai teri mamta ki dastan sunta aaya hu...
Tujhe taklifo ke badle hazaro khushia du...
maa aise lakho sapne mai aaj tak bunte aaya hu...
khushi se tu fule nhi smati thi...
kahte hai bar bar mera matha chume jati thi...
suna hai tune us waqt mere liye khana pina tak chhod diya tha...
mujhe apne sine se laga kar tune jahan se muh mod liya tha...
 toote huye chhat se jab raato ko pani tapkata tha,
tab suna hai maa teri mamta ka amrit mujh pe barsta tha...
tu pani wali jagah pe khud let jaya karti thi...
kahi mujhe na kuchh hojaye is baat se tu darti thi...
hamesha tune sabse jyada mujhe chaha hai...
mai mila hu manato se hamesha hi mujhe ye kaha hai...
mere dukh ke waqt me bhi ek tuhi thi jisne mujhe smjha tha...
mai kya chahta hu bina kahe hi tune jana tha...
sara sara din rab ke aage meri slamti ke liye duaye mangti rahti thi...
mujhe uthale magar mere bete ko thik kar tu baar baar rab se ye kahti thi...
tere itne ahsano ke badle mai tujhe aaj tak kya de paya hu...
teri zindagi ka rati bhar gum bhi na mai kam kar paya hu...
Tujhe taklifo ke badle hazaro khushia du...
maa aise lakho sapne mai aaj tak bunte aaya hu...
Umeed hai ke mai aage kuchh aisa kar ke dikhaunga,
Mai apni maa ki sari khushio ko pura kar jaunga.
♥●● !! In shaa ALLAH !! ●●♥
♥●● !! In shaa ALLAH !! ●●♥

Juma Ke Din Ghusl Karna Waajib Hai

Nabi-E-Akram(Aap Pr Salamti Ho) Ne Farmaya,
Har Baaligh Par Juma Ke Din Ghusl Karna Waajib Hai.
(Bukhari,J:1 S:121)

Log Juma Chohrne Se Baaz Ajaye

AHANSARI786:
.
* Hazrat Ibn-e-Umar (Radi Allahu Anhu) Aur HazratAbu Huraira (Radi Allahu Anhu),
Bayan Karte Hain,
"Hum Ne RASOOL ALLAH (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ko Minbar Par Farmate Huwe Suna,
'Log Juma Chohrne Se Baaz Ajaye,
Wrna Allah Inke Dilo Par Muhar Laga Dega,
Aur Phir Wo Ghaafileen Mein Se Ho Jayenge."
(Muslim,Hadis No:2002)
(Nisai,Hadis No:1370)
(Ibn E Majah,Hadis No:794)

Juma Ki Namaz Ko 3 Tarah Ke Log Aate Hain

AHANSARI786:
.
* Juma Ki Namaz Mein 3 Tarah Ke Log Aate Hain *
.
* Abdullah Ibne Umr (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai,
"Ki Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Juma Mein 3-Tarah Ke Log Aate Hain.
.
*1) Wo Jo Waha Aakar Behuda Baat Kare,
Uska Hissa Yahi Hai (Yani Usko Kuch Sawab Na Milega)
.
*2) Dusra Wo Hai Jo Waha Aakar Allah Subhanahu Se Du'a Kare,
Agar Allah Chahega To Uski Du'a Qubul Karega,
Aur Chahega To Nahi Karega,
Aur,
.
*3) Wo Hai Jo Waha Aakar Khamoshi Se Baith Jaye,
Na Logon Ki Gardanein Faand Kar (Over The Neck) Aage Badhe,
Aur Na Kisi Ko Takleef Pahuchaye,
To Uska Ye Amal Is Juma Se Lekar Agli Juma Tak Balki Aur Teen Din(Day) Zyada Tak Ke Liye Gunahon Ka Kaffara Ban Jayega.
.
* Kyun Ki Allah Subhanahu Ka Irshaad Hai,
"Ki Jo Shaks Ek Neki Karta Hai Usko 10 Guna Sawab Milega.
.
(Sunan Abu Dawud, Jild-3, Hadees-1101)

Durood-e-Paak Pul Siraat Paar Karaye Gaa

AHANSARI786:
.
* Hazrat Abdul Rehman Bin Samrah (Radi Allahu Anhu) Se Marvi Hai Ke,
"Sarwar-e-Aalam Noor-e-Mujassam (Sallallahu Alaihi Wasallam) Tashreef Laye To Farmaya,
"Maine Aaj Raat Ek Ajeeb Manzar Dekha,
Maine Dekha Ke Mera Ek Ummati Pul Siraat Par Se Guzarne Laga,
Kabhi Wo Chalta Hai,
Kabhi Girta Hai,
Kabhi Latak Jata Hai,
To Us Ka Mujh Par Durood Paak Padha Huwa Aaya,
Aur Us Ummati Ka Hath Pakad Kar Use Pul Siraat Par Seedha Khada Kar Diya,
Aur Pakde Pakde Us Ko Paar Kar Diya.
(Al Qawl Al Badee,Page-124)
(Saadat Al Darain,Page-66)

Fazaiyle Durood Shareef

AHANSARI786:
.
* Fazaiyle Durood Shareef *
.
* Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
"Duroode Paak Padhna
Tumhari Fikron Ko Dur Karne Ke Liye Kafi Hai,
Aur Tumhare
Gunaho Ka Kaffara Hai"
.
(Tabrani, Vol-4)
¤¤ Sallallahu Alahi Wasallam ¤¤

Insan Bach Sakta Hai

1) Takabbur Se......Salaam Ke Zariye
2) Musibat Se......Sadqe Ke Zariye
3) Bimari Se......Dua Ke Zariye
4) Hirs Se......Shukr Ke Zariye
5) Gusse Se......Sabr Ke Zariye
6) Dozakh Se......Ibadat Ke Zariye
7) Jaahil Se......Khamoshi Ke Zariye
8) Shaitan Se......Ilm Ke Zariye
9) Gunah Se......ALLAH Ke Khauf Ke Zariye
[Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz]

Pyare Nabi Ki Pyari Baatein

 Farman-E-Nabi (SallAllahu Alaihi Wassallam),
.
1)
* Allah Paak Ne Meri Ummat Ke Un Khayalo Ko Maaf Kar Diya Hai Jo Unke Dilo Me Paida Hote Hain,
Jab Tak Ki Un Par Amal Na Kre,
Ya Zaban Se Na Kahde (Kisi Gunah Ka Khayal Dil Me Aa Jaye,
To Us Par Gunah Nahi Likha Jata).
.
2)
* Hazrat Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) Ka Bayan Hai,
"Allah Ke Rasool Ne Farmaya,
"Allah Paak Ne Apne Farishto Ko Hukm Diya Hai,
Jab Mera Banda Kisi Gunaha Ka Irada Kare,
To Uske Aamaal Name Me Gunah Na Likhkhe,
Agar Wo Gunah Kar Le To Ek Gunah Likhe Aur Jab Mera Koi Banda Kisi Naik Kaam Krne Ka Irada Kre Lekin Kr Na Sake To Bhi Uske Aamaal Naame Me Ek Naiki Likh De,
Aur Agar Wo Naik Kaam Kar Le To Uske Aamaal Name Me 10 Naikiya Likh De.
.
3)
* Cheekne Wala Agr Cheek Aane Pr
ALHAMDULILLAH
Kahta Hai,
To Farishte
RABBIL AALAMEEN
Kah Kr Uski Baat Puri Kr Dete Hain,
Or Agr Wo
ALHAMDULILLAH RABBIL AALAMEEN
Kahta H To Uske Jawab Me
YARHAMUKALLH
Kahete Hain.
.
4)
* Salaam Krne K Baad Khush Dili Se Musafa Krne Walo K Gunah Aise Jhadte Hain,
Jaise Sukhey Patte Pedh(Darakht) Se Jhad Jaya Krte Hain.
.
5)
* Salaam Krne Me Pahel Krne Wala,
Rahemate Elahi Ka Ziyada Haqdaar Hota Hai.
.
6)
* Achchi Awaz Me Quran Ki Tilawat Kro,
Uski Baato Pr Gaur Wa Amal Kro,
Taaki Tumhe Kamyabi Mile.
.
7)
* Kisi Aurat K Sath Tanhayi Me Na Baitho,
Q Ki,
Wahan Teesra Shaitaan Hota H.
.
8)
* Baaye (Left) Hath Se Khana-Pina Shaitaan Ka Tarika H.
.
9)
* Tumhe Maloom Nhi Ki Plate Me Rakhe Khane K Kis Daane Me Barkat H,
Isliye Plate Ko Ungli Se Saaf Kr Liya Kro.
.
10)
* Tirmizi Wagaira Ki Riwayat H,
Huzru Alaihis Salaam Ne Farmaya Ki,
"Hamare Aur Unke Darmiyan Fark Namaz Ka H,
Jis Ne Namaz Chhor Di,
Usne Kafiro Jaisa Kaam Kiya.

Maa!

" MAA " yani AMMA'n or AMMA'n yani AMAAN, To jis gaod ki AMAAN (safety) me tum parwaan chadhe, use daagh_e_gham na do, muhabbat kro, khidmat karo.
WO MAA JISKI 9-MAHINE KI "TAKLEEF" KA BAYAN ALLAH TAALA APNE PAAK KALAM (Qur'an 31:14) ME KAR RAHA HY. KYA USKI NA-FARMANI AULAD KO MAHSUS NHI HOTI?
  Hadees-e-Pak 
Apne Maa Baap Ki Kabhi Na Farmani Na Karna, Chahe Woh Tumko Ghar Aur Maal Wa Jaidaad Chodne Ka Hukm De dein.
[ Musnad-e-Ahmad : Hadees No. 21570 ]
Jab Olad apny Man Bap ki taraf Rehmat ki nazar kary to Allah usky liye har nazar k badly Hajj e Mabroor (Maqbol Hajj) ka sawab likhta hay "
[ SHOB UL EMAN V6 Page: 186 Hadees No. 7856 ]
"Jo apny Walidain ya 1 ki Qabr par har Jumma k din ziarat k liye hazir ho ALLAH usky gunah bakhsh dayga or Maa Baap k 7 bhalai karny wala likh dia jaye ga"
[ NAWADIR UL USOOL P97 H130 ]
HADEES: Jo Ba-Niyyate Sawaab Apne Waledain Dono ya ek ki Qabr ki Ziyarat kare, Hajje Makbool ke barabar Sawab Paye, Aur Jo Ba-kasrat Inki Qabr Ki ziyarat Karta ho Fariste Uski Qabr ki (Jab ye fout hoga) Ziyarat ko Aae.
[ KANZUL-UMAL J:16 S:200 H:45536 DarulKutbul-Ilmiya, Bairut ]
Murdon ka haal QABR me dubte hue inshaan ki maanind hai ke woh siddat se intzaar karta hai ke baap ya maa ya bhai ya kisi dost ki dua usko pahunche aur jab kisi ki dua use pahunchti hai to uske nazdik woh dunia wa mafihaa se behtar hoti hai, ALLAH AZZWAJAL qabr walon ko unke ZINDAA mut'alikin ki taraf se HADEEYA kiya hua SAWAAB pahadon ki maanind ataa farmata hai, ZINDON ka hadeeya (tohfa) Murdon ke liye 'DUA E MAGFIRAT' katna hai.
[Baihaki SOEBUL-IMAAN JILD:6 SAFA:203 HADEES:7905]
Ishaal e Sawaab Zaroor Karey.
(For Dear 24: Margayaa Mardood Na Fateha Na Darood  )
Shohar Or Biwi ki Mohabbat ka Sabse keemti Sarmaya Woh Awlad hai, Jo har NAMAZ ke baad yeh duwah kare ki YA ALLAH Mere walidain ko bakhs de.
Phool Kabhi 2 Bar Nahi Khilte Janam Kabhi 2 Bar Nahi Milte Milthe Hai Log Hazaro Magar Hazaro Galtiya Maaf Karne Wale "MAA-BAAP" Nahi Milte.
=VOiCE OF PARENTs=
"UMMAR" Bhar JiS "PHOOL" Ki"PARWARiSH" Ki" aye_Khuda
Jab "KHUSBOO" Ke KabiL Hua To"GAiRON" Ka Ho Gaya.
Aur kuch Bhi Nahi Chahta Mein Apni Is Haseen Zindagi Me " Ya Rabb "
Dua hai Ke Kisi Ke Dukh Ki Wajah Meri ZaaT na Ho.
Gardishe laut jati hai meri balaye lekar,
Ghar se nikalta hoon maa ki duayen le kar.