Sunday, 22 December 2013

Nabi e Akram sallallaho alahe wasallam ne farmaya

Nabi e Akram sallallaho alahe wasallam ne farmaya Tum mein se koi,kisi bhi 

takleef ki waja se maut ki Aarzu na karay haan Albatta ye dua ALLAH se ker 

sakta hai k

" Aye ALLAH mujhe zinda rakh jab tak mera zinda rehna behter ho,aur mujhay


 maut de jab mere liye maut behtar ho

Kuch is ki khabar bhi hai tujhko

Kuch is ki khabar bhi hai tujhko

Wo roz-e-mehshar kya hoga

Jis aag ka indhan insan hai


Us aag ka aalam kya hoga

Ye jism gawahi khud de ga


Har hissa badan ka boley ga

Khamosh zuban ho jaye gi


Us waqt ka aalam kya hoga

Kuch is ki khabar bhi hai tujhko


Wo roz-e-mehshar kya hoga

मुसलमान का अपना दुश्मन खुद मुसलमान है..See how

मुसलमान का अपना दुश्मन खुद मुसलमान है....केसे देखे मे बताता हु

इन बातों को पढे और खुद फैसला करे...।
1.हमारे मुहल्ले की छोटी सी मस्जिद की कमेटी से लेकर राज्य की हज
कमेटी तक मे मुस्लिम्स के अंदर न इत्तेफाकी आम बात है...यानि मिल
कर कोई काम करेंगे ही नही...
2.ज्यादातर जीतने भी मुस्लिम्स जिनहे अल्लाह ने खूब मालों दौलत से
नवाजा है उनकी यहा की शादिया इस क़दर खर्चीली होती है की उतने
पेसो मे कई गरीब मुस्लिम बहनों का निकाह हो सकता है..।
3.जिसे देखो अपने बच्चे की स्कूल फीस,ट्यूशन फीस,बस
किराया,कापी किताब,ड्रेस,जेस ी चीज़ों मे खर्च करने मे कोई बढ़ी बात
नही है..लेकिन एक आलिम या हाफिज़े कुरान जो 100 से 200 रुपए
महीने मे घर आकर आपके बच्चो को दीनी तालीम दे सकता है वो सब
को भारी लगता है....।
4.उधार लिया है तो चुकाने मे इतनी इतनी ताखीर कर दी जाती है
की बाद मे वो पेसा देने वाले के काम का नही रेह जाता..।
5.दौलत और जायेदाद के लिए सगे भाई,या सगे भाई
बहन,चाचा भतीजे,यहा तक की बाप बेटे तक मे लड़ाई देखने को मिल
रही है...।
6.अगर किसी सुबाह क्रिकेट खेलना हो तो उठ कर तैयार लेकिन फ़जर
के लिए फुस्स...।
7.बिजली चोरी भी आम है...मेने खुद कई मुस्लिम घर देखे है
जहा धड़ल्ले से बिजली चोरी की जा रही है..।
8.एक दूसरे की टांग खींचने मे हमे महारत हासिल है...ये
ऐसा वो ऐसा...बस यही काम है
9.ब मुश्किल हफ्ते मे एक बार जुमे को मस्जिद आते है और उनमे से
आधे बिना सुन्नत पढे ही ऐसे भागते है जेसे शायद उन्हे पकड़ कर क़ैद
कर दिया जाएगा...।
10.हमारे मुहल्ले की ज्यादातर इमाम इलाक़े के अमीर आदमी कौन कौन
है सब को जानते है लेकिन गरीब आदमी कौन है इसके लिए टाइम
नही है...जबकि इमाम का काम है की सर झुका कर मस्जिद जाये और
सर झुका कर वापस अपने हुजरे मे आ जाए..।
11.पड़ोसी के यहा कुछ नयी चीज़ आ गयी तो हमे जलस
होती है...बहुत आम है ये भी
12.झूठ!!!!! खुदारा खुदारा इस क़दर ज़बान पर होता है की शायद
ही कोई बात सच हो..।
13.माँ बाप बुलाये तो अनाकानी लेकिन लड़की या बीवी बुलाये
तो फौरन हाजिर...।
14.मे ऐसा मेरे पास ये है मेरे पास वो है...मेरे जूते इतने के
है...मेरी कार इसमे की है...हर कोई दिखावा दिखावा और बस
दिखावा..।
15.मुस्लिम लड़को के हाथ मे
आपको कडा मिलेगा...नाड़ा मिलेगा...कान मे बाली मिलेगी...और
तो और कभी कभी तो ऐसे लिबास पहने देखा हु की यकीन
करना मुश्किल होता है की मर्दाना है या ज़नाना???
16.हमारे 15-16 साल के ज्यादातर लड़के कुरान पढे हो या न हो कोई
सूरत याद हो या न हो लेकिन गंदी फिल्मे इस उम्र तक देख चुके होते है
और गाने भी याद हो चुके होते है...क्या ये आने वाली मुस्लिम
पीढ़ी है????
और भी सेकड़ों खामिया है आज हम मे....जो क़ौम पहले
दुनिया की तमाम क़ौमों की सरदार थी आज बदहाल
होती जा रही है....क्यू??? सिर्फ अल्लाह और उसके रसूल से
दूरी इसकी वजाह है.

Saturday, 21 December 2013

PYARE NABI KI PYARI BAATEIN

[1] Logo ko jalil karne aur gibat karne walo ko meraz ki raat maine apne tabey ke nakhun se apne chehere aur shine nochte dekha.
...........................................................................................................................
[2] Musalman ka maal (nazayaz tarike se hathiyana) use beyzzat karna,usse katal karna musalman ke liye haram hai. (ABU-DAUD)
...........................................................................................................................
[3] Jo adimi apne deeni bhai ke umar zulm-jayezsti hote huwe dekh kar khamosh rahe, uski madad na kare to allah paak bhi musibat mai uski madad nahi farmayega. (ABU-DAUD)
...........................................................................................................................
[4] Jo adimi apne kisi deeni bhai ko kisi deeni bhai ki gibat karne se rookde, allah paak usse jahannam mai jane se rook dega.
...........................................................................................................................
[5] Jo adimi koi ayesi chez (kisi ki koi ayesi burai) dekhe jisse chhopana chahiye (usse jaheer karke jalil hone-karne se bachaye) uska ayeb chhupa liya to goya usne jinda gadi hui bachchhi ko kabar se nikal kar dubara jinda kardiya. (TIRMIZI SHARIF)
...........................................................................................................................
[6] Bande ko qayamat ke din uska amalnama diya jayega. Wah usse khol kar dekhega to ussmai ayesi bahut si nekiyan darz payega jo usne jindagi mai ki hi nahi they. Araz karega – ILAHI! Yah sab kaise? Jawab milega – logo ne tumhari gibat ki they, tumne nahi pata thha, un logo ki nekiyan tumhare amalname mai darz kar di gayi.
...........................................................................................................................
[7] Agar kisi adimi ne apne kisi gunaha se tawba kar li fir bhi kisi ne (kisi bhi wazaha se) us tawba karne wale ko uske gunaha yaad dila kar sharminda kiya to ayesa adimi marne se pahele kabhi na kabhi us gunah mai jaror mubtila ho jayega. (TIRMIZI SHARIF)
...........................................................................................................................
[8] Hasad (Irsha) nekiyon ko is tarah khatam kar deta hai jayese aag lakdi ko jalakar khatam kar deti hai.
...........................................................................................................................
[9] Ek dusre ki tarakki – khushharli dekhkar jalo mat! Kisi ke liye apne dil mai kina na rakhkho. Pith pichhy kisi ki burai na karo. Allah ke bande! Aapas mai bhai-bhai bankar raho. (BUKHARI SHARIF)
...........................................................................................................................
[10] Hafte mai 2-baar peer aur jumeraat ko bande ke amal darbare Elahi mai pesh kiye jate hai. Allah paak apne fazal s logo ko bakhsh deta hai lekin bhai se dusmani rakhne wale ki bakhshish nahi hoti jab tak ki wah apne gila-shikwa duur karke apni dushmani khatam na kare.
...........................................................................................................................

[11] Mazlum ki baddua se bachho. Wah allah se apna haq magega. Allah paak kisi haq wale ka haq maaf nahi karega (BAYEHKI SHARIF)

GIBAT KHORI BHAYANAK GUNAHA

Aaj  ham gunaho ke itne aadi ho chuke hai ki gunah ke kaam kar ke bhi gunah mahesush nahi karte. Yah hamari emaani kamzori hai. Ayesha isliye ki pura samaz iski lappet mai aa chuka hai. Jhhoth bulna gunahe kabira hai. Lekin yaha ek mamuli baat samjhi jane legi hai. Yahi nahi, balki karobari log to isse apna haq  wa hunar samjhne lage hai. Aap aye din logo ki jabani sunte hai ki are bhai-dhandhy mai etna to chalta hai, dhandhy mai to sab zayaz hai. Issi tarah ki aur na jane kaisi-kaisi bate ham aur aap aye din sunte hi rahete hai. Ab zara gawar kijiye – jab logo ki halat wa khayalat ayese ho jaye to  fir bhala burayi ko burayi, gunah ko gunah kaise samjha jaye aur bachne ki fikar kyon ki jaye?
Unhi sari burayi mai se ek burayi gibat hai (Chugli karna). Gibat gunah-e-kabira hai. Kisi ki peth ke pichhy burayi karne ko gibat kaha jata hai. Gibat ko quran mai apne bhai ka gusht khana bataya gaya hai. Aaj is gunaha se koi bhi nahi bachha hai. Bada ho ya fir chhota, mardho ya awrat, alim ho ya jahil, sabhi iss gunaha mai fase nazar aate hai aurr bade maze lelekar ek dusre ki burayiya karte hai. Jis tarah chamdey ke karkhano mai kaam kare walo chamdey ki badbu mahesus nahi hoti kyonki wah uske aadi ho chuke hote hai, issi tarah gibat karne walo ko gibat ki badbu mahesus nahi hoti.
HAZRAT-ANAS-RADIALLAHO-ANHO – ka bayan hai – ek din allah ke rasul ne hame roza rakhne ka hukum diya aur yah bhi takid farmayi ki bagayar meri izazat ki koi iftar na kare.Chunanchhey job iftar ka waqt karib aya to ek-ek kar ke log ane lage. Log aap se izazat lelekar  iftar karne lage. Unhi mai se ek sahaba jab itfar ki izazat talab karne ke liye karib aye to kaha –Ya rasulallah! Meri ghar ki 2- awrato ne bhi roza rakhkha hai, waha aapke samne ate huwe saraam mahesus kar rahi hai, aap unhe iftar ki izazat de. Aaka ne unki taraf se muuh feyr liya. 3-baar ayese hi howa to sarkar ne farmaya – jiska din logo ka gusht khane mai beet jaye waha kaisa rozdaar? Jao aur unse kahe do ki agar tumne roza rakhkha hai to kisi tarah kay kar daro. Unhone ghar jakar jab yaha khabar di to unhone kay (ulti) ki. Unke peyt se khuon ke lothde bahar aye. Waha sahaba darbar-e-rasul mai hajir howe aur sara haal sunaya to aapne farmaya- khuda ki kasam! Agar yaha chhez unke peyt mai rahe jati ho unhe aag jalati. Unhone ek-dusre ki gibat ki hai
Allaho-akbar! Nigah-e-nubuwat ne gibat ke bhayanak anjam ko peyt ke andar dekh liya aur logo ko uske gunah se bachte rahane ki tacit farmayi.
Allah paak hame apne pyare nabi ki sadke mai gibat aur iss tarah ke dusre gunah se bachne ki takid aata farmaye taki ham duniya w akhirat ki tabahi se bach sake. Ameen!!!